Hmm - Ek Kadva Sach #HMM_nahi_jawaab_chahiye


    
Hmm

  (ek kadva sach)


(Kya aapki bhavnaao ki aag par kisine 'hmm' naam ke paani se bujhaya hai ? Kya aap bhi un logo mein se hai jo in gambhir prasano ka uttar dhoond rahe ki "What is the full form of Hmm ?", "Hmm ka reply kya kare ?". Toh bhaiyo or behno iska uttar samajhne ke liye aapko 100 janam or lagenge tab tak ke liye aap Dream 11 par team bhi na banaye , ye jo neeche likha hai use padhl lijiye )





Vo bhi kya raate thi, Jab ho rahi bindaas baaatein thi... 😆😆😆

Kuch tum kehti kuch mein kehta..

Or ye baato ka silsila bas yuhi chalte rehta ..😎😎😎

Lag raha tha ki is raat ka ab nahi hai koi dead end..

Aakhir bullet train se bhi tez ho rhe the ek dusre ko msg send..

Raat or dhull rahi thi par hamari baaatein phir bhi chal rahi thi..... 😈😈😈

Baato hi baato mein confidence kuch aisa aaya,

 us ek char line ke msg ko mene ab 8 line tak pahuchane ka jimma uthaya.. 😉😉😉

Vaha se bhi jab usi vajan ka  reply aaya ..

Toh Kasam se  solid maza aaya.. 😁😁😁

Phir us badte utsaah mein nidarr ho mein messenger ki texting limit tak mein khel gya...

Or kisi PhD ki thesis  se bas do aksar kum ka msg mein use pel gya.. 😜😜😜😛


Swag dekho apna! ki vaha se instant msg seen ! 😎😎😎

...

(Typing) 😆😆😆

...

(Typing) 😆😆😆

...

( Typing) 😃😃😃


(Typing ) 😅😅😅


(still Typing ).. 😑😑😑



Ye dekhte dekhte ab  ek ghanta hone ko Tha..😖😖😖

                                                                                                                

Mein toh nahi par Mera phone sone ko Tha..😪😴😴😴

..

Tab acchanak se Messenger bola (ting)..

Or bina time waste kiye mene vo msg khola...😍😍😍


Hmm..

 

Dekh isko mein confuse ho gya Tha.. 😳😳😳

Ki mein galat tha  ya iske  haatho ko kuch ho gya Tha..

Aisa lagra tha mano,

Exam ke us long answer question ka jawab koi student one word mein de gaya.. 😒😒😒

Or puchne vale  us teacher ko sharmindagi ke sagar mein le gya.. 😑😑😑

Finally,

Mehnat ka fal meetha nahi "Hmm" hota hai,

 ye mujhe vishwass ho gaya..

Or andar ka vo over excited  londa jillat ki razaai oodhe ke ek br phir so gaya.. 😵😭😭💤💤




(About author : xxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxx

xxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxx

xxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxx .

Nothing Interesting ! )



















टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

The Martyred Soldiers of Pulwama have a message for us..

इंकलाब लेलों !

Half Gandhi